|
یکم مئی : آج کا دن ہے یوم انالحق آج کا دن مزدور کا دن ہے؟ از صفدر ھمٰدانی
»
 |
| Yakum May, Mazdoor Ka Din |
| 01.05.2013, |
Asad Khan |
Aaj ka din Mazdoor Ka din Hai ..Lekin Kya ,yeh din sirf aor sirf mazdoor ka din (Yaom-e-mazdoor) mananey tak hi mahdood nahi hai,,Tamam Aalam ka Haal to mujhey nahi maloom Lekin Hindostan mein to sirf is din ko shaoq mein manatey hain ..Kabhi is par ghaor nahi kiya jata ki aakhir ye din kyun manaya jata hai .Hamarey Mulk k tamam ohdey dar is bat ki koshish nahi kartey ki kam az mazdooron k barey mein bhi koi Qayedey Qanoon banaye jayen jis sey unko bhi kuchh fayeda pahunchey ,Humarey Siyasatdan to sirf vote k barey mein hi apney dimagh ki kasrat kiya kartey hain ,ki s tarah vote balance aor bank balance mein izafa ho..,,Hamarey yahan bachcha mazdoori barhti chali jarahi hai..uspar log laganey ka qanoon to hai par amal nahi ,,amal karen bhi to kaisey ,,,ussey netaon ki jeb kamzor par jayegi kyonki ghareebon ko rozgar dena padega ..aor jab ghareeb ko kam mil jayega ..to unkey bachchey kisi ka kam kyun karney lagey..mulk k bachchey agar parh likh jayengey to mulk taraqqi karega ..Istarah un k baap dadaon mein jo siyasat chali a rahi hai kal ek ghareeb ka beta bhi apni pahunch bana sakta hai..aor ye Siyasatdano ko manzoor nahi ...Mere khayal sey isi liye Yaom-e- mazdoor zinda rahega to mazdoor isko khushi khushi manatey rahengey ..aor usi mein wo khush bhi rahengey ki Mera bhi ek To DIN hai(May 1)..Shukriya
|
|
 |
تبصرہ شامل کریں:
|